Priya Amrita
- Siddhant Bhattacharya
- Aug 18, 2025
- 1 min read

Tum meri Amrita mai tumhara Imroz, tum apne Sahir mein jiyo mai apni Amrita mein jeeta hun.
Tum apne asmaan mein udo mai tumhare chat se tumhe taakta rahunga.
Gar tumhe kahi Jana ho tho mai apna cycle bech tumhare liye ek scooter le lunga taaki tum apni shabdon mein raho aur Mai unn laqeeron mein tumhara aks dhundta rahunga.
_Tum gar kahi chali jao tho tumhara choufer ban jaunga issi bahane kuch dur aur saath rahenge._
Mera pyar tumhare pyar ke aadhar par nahi, mera pyar tho bas tum par hai.
Tumhare hone ki khushi utni hi hai jitna na hone ga gham. Par kya kare tum kehke bhi gayi thi ki tum phir milogi kahi kisi tarah.
Mai tumse phir milunga par iss baar tuhare dopeher mein


Comments